Atif Aslam
Sab kuch mil gaya..!
Wm: Ap apney pehley album ki fory kamyabi per hairan to nahi hain?
Atif: Mujhe tou yeh ab bhi khuwaab maloom hota hai. Mashallah khush qismety ney mera poora saath diya.
Wm: Ap kis kisam ki moseeqi pasand kertey rahein hai or ye hap key andaaz per kis tarah asar andaz hoyi?
Atif: Mein har kisam ki moseeqi sunta hun. Mein Nusrat Fateh Ali Khan ka bohat madah hun. Mein na sirf in ki mojooda moseeqi balkeh in ki puraani qawaliyon ko bhi barey shoq sey sunta hun. Main Abida
Perveen aur Junoon ki moseeqi ko bhi pasand kerta hun. Magrabi
fankaroon mein mujhe Audio Solo U2 aur Pril Jam pasand hain leken bahar
hal wo mere andaaz per kabhi asar andaz nahi howey hain. Mera khayal
hai keh bunyaadi taur per insaani fitrat hi takhleeqi amal per ubhaarti
hai aur is per asar andaaz hoti hai. Mein jab logon sey milta hun tou
in say in ki achi baatein ahez kerta hun.
Wm: Jis tareeqay se yap apney career mein aagey barh rahey hain tou kya aap is sey poori tarah mutmayein hain?
Atif:
Mein bohat mutmayin hun. Mein Khush naseeb hun. Is umar mein shohrat
hasil kerna na qabil-e-yaqeen hai. Jab ham nojawaan hotey hain tou hum
tawajoh hasil kerney key liye har waqt sagardaan rehetey hain. Mujhey
logon ki bohat zyada tawajoh hasil hai. Mera khandan mujh per fakhar
kerta hai.
Wm: Ap ki taleem ka kya haal hai?
Atif:
Meney graduation kerli hai liken is key baad mein moseeqi mein is qadar
masroof raha hun keh mujhey masters ki degree hasil kerney key liye
waqt hi nahi mila liken mujhey umeed hai key mein pni taleem poori
kerlun ga. Abhi kaafi waqt hai.
Wm: Bollywood k liye gaaney yah un ki productions ko apney gaaney deney ka tajurba kesa raha.
Atif:
Bohat umdah tajurba raha. Mein wahan bohat maqbul hun. Mujeh yeh kehna
pasand nahi keh meney unhey apney gaaney �diye hain� . Yeh
tou meri gulukaari hai keh wahaan mujhey awards miltey rahain hain.
Wahan keh log mujhey ek aisey Pakistani key tor per jaantey hain jo
india mein bari kamyabi hasil ker raha hai. Mein yeh sab kuch apney
mulk k liye kar raha hun aur wahan is ko represent ker raha hun. Wahan
k log mujhsey bohat hi khushi sey miltey hain.
Wm: Bollywood mein kaam kerney key baarey mein app key fans ka kya rad-e-amal hai?
Atif: Pakistan k logon ko yeh baat samjhni chahye k
agar mein india mein garaha hun or wahan aur wahan acha kam ker raha
hun tou is tarah akhir kar Pakistan ka naam roshan hota hai. Dosri
taraf bharat k logon k liyeh bhi yeh khatrey ki baat hai k sarhad paar
ka ek nojwaan in k haan ek achi moseeqi pesh ker raha hai. Lehaza dunya
mein jahan bhi merey fans hain unhey meri moseeqi sey muhabbat kerni
chahye or is baat ko ahmeat nahi deni chahye key mein yeh moseeqi kis
ilaaqey mein pesh ker raha hun.
Wm: Ap ka agla program kya hai?
Atif:
Mein apni nayi album MERI KAHANI per kaam ker raha hun jo eid per
release hogi . is mein 12 tracks hain.Is mein merey bachpan k mutaliq
bhi ek track hai. Is album k gaaney doorie ki tarah nahi hain. Yeh
album merey doosrey commercial kaamo ki tarah bilkul nahi hai. Is album
ka taluq meri zaar sey hai aur yeh mujhey bohat hi azeez hai. Yeh
Pakistan key underground bands k liye sahara bhi hai kyunke inhey who
muwaqey dastyab nahi jin k who mustahiq hain. Is waqt mein yeh towaqoh nahi rakhta k yeh album logon k liye baas-kashish hoga. Mein tou maihez apni
moseeqi tehleeq kerney ki koshish ker raha hun. Is k ilawa jahan tak
filmo ka taluq hai. Mein muhtalif projects per kaam ker raha hun. Mein
INDIAN fil Race mein playback singing ker raha hun.
Source: http://www.atifarena.co.nr |