Wm: Kya films mein adakari kerney ka bhi khayal hai?
Atif: Mere paas is silsiley mein ek do offers hain liken filwaqt meri tawajoh moseeqi ki taraf markoz hai.
Wm:
Bohat sey Pakistani sazinday app k naqsh-e-qadam per chal rahey hain or
ap k andaz ki naqal ker rahey hain. Is barey mein aap ka kya tabsarah
hai?
Atif:
Mera taluq matusat tabqay key ek khandan sey hai. Jab doosrey baslaheat
larkey mujhe dekhtey hain tou who mujh sey ek taluq sa mehsoos kertey
hain. Meri poori zindagi in k saamney hai. In key nazdeek mein ek aam
sa shaks hun jo kamyabi or shuhrat hasil ker raha hai. Is key bar-aqs
mera khayal hai keh hum abh bhi aisi original moseeqi pesh ker rahey
hain jo Pakistani sazindon key liye bht munfarid hai.
Wm: School mein math sap ka favourite mazmoon tha. Kya aap apni zindagi mein hisaabi tareeqo sey kaam letey hain?
Atif:
Meri zindagi key kayi pehlo hain or mein isi hisaab sey mansooba bandi
kerta hun. Mein halat key mutabiq apney aap ko dhalney waala shaks hun.
Zindagi is curlicue hole ki manind hai jo guitar per saamney banaya
jaata hai or jisey F-hole kaha jata hai. Is hole mein hawa key dahil
honey or awaz key nikalney kay darmyan ek khaas tunasib hai jis key
mutaabiq jitni zyada hawa is mein sey guzarti hai itni hi zyada is mein
sey awaz nikalty hai. Mehnat khud hi bolti hai.
Wm: Ap ka akhri maqsad kya hai?
Atif:
Mera zindagi ka maqsad kuch personal sa hai mein sirf yehi keh sakta
hunk eh music sey mujhe itmenan hasil hota hai liken yeh meri aakhri
manzil nahi hai. Main ek acha insaan banna chahta hun or mein yeh
bilkul bhi pasand nahi kerta keh mera �NORMAL PERSON� ka image badal
jaye.
Wm: Kuch apney khandan k baarey mein batayein.
Atif:
Ham char bhayi hain or hamari koi behen nahi hai. Hum sab bhai bohat
artistic hain jabke hamarey parents aisey nahi hain. Mein apney parents
ka sab sey chota beta hun aur merey bhayon ney merey career key mamley
mein meri madad ki hai. Sab sye baray bhai Shahzad photography kertey
hain jinho ney merey naye album ka cover design kiya hai. Merey doosrey
bhai Sheraz websites ka kaaam kertey hain. Teesray bhai Shahbaz meray
dresses design kertey hain. Yaani keh yeh bhaayon ka band hai.
Wm: Ap key mashagil kya hain?
Atif:
Meray paas waqt ho tou mein apni motorcycle chalana pasand kerta hun.
Mujhey hawai safar kerney or logon ka mushahida kerney ka bara shoq hai.
Wm: Nojawan logon key lye aap ka kya pegaam hai?
Atif: Hamesha apney personal style per tawajoh dein, copy kerna band kerein or apney dil ki awaaz per chalein.
Source: http://www.atifarena.co.nr |