Atif aslam Hajj and Official Facebook page. - Atif aslam news - News - Atif Arena.Atif aslam fan club
Main Registration Login
Welcome Guest!

Atif Arena - Atif Aslam Fan Club!
Main » Articles » Atif aslam news

Atif aslam Hajj and Official Facebook page.

  

I welcome u all at ma official fanpage

http://www.facebook.com/group.php?gid=46313033471&ref=mf

. hope u have enjoyed  "tera honay laga hun” and "kaisay btayen” ...   thts not it … the show begins now  "” watch out for my new tracks in the new bollywood film " prince”  ..   "”     "    o meray khuda  "  ,,,,, " kaun hun mein "    …..  and  " teray liye "   and a rendition to the unplugged  " o meray sanam……. " ryt in the studio ..

       And to ur surprise we are launching the youtube channel very soon .. stick around 

      Would like to share something which is very personal to me … neva thought tht ppl are goin to upload ma video on youtube in ehram coz it was very personal to me..  THOUGHT tht I should b sharing ma HAJJ experience with all ov u

     

                                                                       HAJJ 

  

     

 It was the 14th ov november the flight was at 6 pm n we were realy very excited to be the first ones to reach the airport.  socha ne tha k itni duniya wahan jati hai ..aur itni duniya k liye wahan jaga bhi ho sakti hai but can u imagine there were abt 4 million ppl praying at one place at one time n ALLAH subahanatallah keeps the track ov everyone . as ALLAH says "" mein tumhari shahrag say bhi zada kareeb hun ""

         The flight landed at jeddah in the night by 11 and we were suppose to take the passage flight  in the morning for madina . Communities in form ov groups sleeping at the terminal made me think ov ma U.S  tours.. Some locals offered us the tea . mein ne kaha  is ki zaroorat ne but they insisted n all ov us had it ... so the hospitalilty begins frm here ...  They had pictures n the very first ov the few in jeddah to ask for dua's :) MASHALLAH  interestingly he told me abt the fake facebook account tht he had under ma name to get the attention ov grls lol ,  now the fact tht he told me abt this account made me understand k atleast is ne jhot ne bola n told me abt it ….!  kewl ..  I had a conversation with the local shopkeepers at the airport n they were realy happy to see me infact they offered me the very famous jalal pur jata ka halwa. thanks 

    

        I was not feeling well at all so one of my fans took me to the pharmacy for the hajji's at the airport , felt much better after having medicines .. this guy was frm wah cantt and was an electrical engineer and asked for dua's .... finally at 5 in the morning we landed madina n it was realy cold unexpectedly. I was wearing a shalwar kameez aur thand say bachnay k liye kuch khas ne tha .   .. we offered zohar around12"05 ...  humein is baat ka andaza ne tha k humein jaga ne milay gee aur yahe soch k hum wazzu ker k 11'50 chalay gaye ... aur wohi hua masjid k bahir mili pehli namaz jis ka humein kafi afsos hua . shahbaz said k aab jo bhi namaz ho ge us say ghanta pehlay a jayen gay . ..... so instead ov goin back to the hotel we decided to stay at the haram ...  ander ja k dekha to masjid ki khushbo ankhein band ne honay day rahe thi ... phir dhondnay ki koshish ki k RASOOL PAK (salal la ho alae wa alehe wasallam) ka ROZA MUBARAK kider hai .. khobsurat satoon , itnay motay carpet , abe zam zam , nuur say bharay huay chehray ,  ALLAH ki hamad o sana kertay huay kabutar , beyan kerna zara mushkil hai aur mein justify bhi ne ker sakta ALLAH ki qudrat ko ..  asar ki namaz say pehlay dekha k bohat say loog ek jaga ikhatay ho k ksi cheez ka intezar ker rahay hain aur itnay zada loog ek barier say rokay ja rahay hain lekin jun he woh khulay ga to sab bhagain gay ... kuch samjh ne aya k yeh kia tha ,,socha kuch na kuch to hai .. to kharay ho gaye hum bhi line mein .. hazaron ki tadat mein yeh majma is liye jama tha k "" RIAZ UL JANNAH"" mein nawafil ada ker sakay ..... yeh wo jaga hai k jahan  HAZRAT AYESHA ( r.a ) ka hujra hai aur hamaray NABI( salal la ho alae wa alehe wasallam ) yahan per sahaba ko taleeem dia kertay thay , na sirf yeh balkay yahen per namaz perhaya kertay thay ... aur kuch jaga to pillars bina diye gaye hain k jin jagon pe HAZOOR( salal la ho alae wa alehe wasallam ) ko pasand tha baithna aur roza aftar kerna ... ya aitakaaf pe baithna ... in jaghon ko aab satoono ka nam day dia gaya hai ... aur is ko RIAZ UL JANNAH kaha jata hai ....     namazion k liye is hisay ko greeen carpet say differentiate ker dia gaya hai ... aur kaha jata hai k QAYAMAT k din is ko JANNAT mein shamil kia jaye ga  ( JANNAT ka tukra )

       aur Arabic mein pillars ko istawan kaha jata hai …  aur jo insan ISTAWANE AYESHA k pass nawafil ada kerta hai us ki mangi hui dua zaroor Kabul hoti hai ..

    RIAZ UL JANNAH say nikaltay he left side pe ROZA E RASOOL( salal la ho alae wa alehe  wasallam ) hai jis ko pehli dafa dekhtay he ankhon mein ansoo a jatay hain aur presence mehsoos hoti hai NABI ( salal la ho alae wa ale he wasallam ) ki k jin ko hamray liye example bna ker bheeja gaya ….         Us k bilkul saath he HAZRAT ABU BAKR  SIDDIQUE (R.A)aur HAZRAT UMER FAROOQ(R.A) ka roza Mubarak hai ..   wahan salam ker k jab aap bahir nikaltay hain to qibla ki taraf rukh ker k aapko dua mangni hoti hai … k jahan say aapko HAZOOR(salal la ho alae wa alehe wasallam  ) ki unthni kharay honay ki jaga bhi nazar ati hai …. Itni khoobsurat hain wo jalian aur itni khoobsurat hai presence AAP (salal la ho alae wa alehe wasallam ) ki k insane  kehta hai k hamrai aukat he kia hai yahan anay ki aur hum apne ganday amal lay k kis mu say yahan per kharay hain humein to is pak jaga ko aur pak bana dena chahaye lekin fermaya gaya hai k jis shaks ne JANNAT k tukray pe namaz perhi aur nawafil ada kiye us ki sab duayen qabool hoon ge   … rozzana ki routine ban gaye k ksi tarah say qinat  khulein gay aur hum wahan jayen gay aur ROZ ka salam zaroor kerein gay ..   aur kia lutf hai pehli saf mein kharay ho k namaz perhnay ka aur us jaga pe k jahan sahaba karam namaz ada kertay hai SUBAHANALLAH

    Farishton ki tabdeeeli ka waqt hai FAJAR aur ASAR ki namaz …   btaya gaya k 70,000 farishtay utartay hain MASJIDAY NABWI mein …. Aur jab aap in 70,000 farishton k beech mein namaz ada kertay hain to kaisa lagta ho ga .. ?    kitni rehmat barasti ho ge … sochain kitna khush hotay hon gay ALLAH apnay bandon ki hazri say .,.

  Us pathar ka ziker zaroor kerna chahun ga k jis per dhoop perti hai to wo thanda ho jata hai … masjid ki chat pe nasb kia gaya hai ta k germion mein namazi aram say namaz ada ker sakein 

  Hamray saath kamra share kernay walay bazurg apnay baitay k saaath hajj kernay aye huay thay .. they were frm bahawalnagar n he must be around 85 . un say kisay kahanian bhi suntay rahay abt the partition n they were telling us abt their forefathers so it was amazing ,,.. n above all he met one ov ma fav singers ..” ustad baray ghulam ali " I mean he actually saw him live  … UFFF  … n then he was telling us abt the migration how they moved in here frm india … n through which I realy found out tht originally we are also frm Amritsar n we migrated frm there ..

          Tabeyat kuch zada he kharab thi aur jab pta chala k sirf ek he tarah ki chapel yani hawai chapal  istamal ker saktay hain to jab wo khareedi to paoon mein dard shuru ho gaye aur is haad tak berh gaye k hajj k akhri dino tak raha …..

   Mall bilkul masjid-e nabwi k samnay tha aur it was easy to get gud food … lekin hum ne koshih ki kuch farak khanay ki is liye ek banglasdeshi restaurant chalay gaye aur wahan say daaal chawal haath say khanay ka aledha he maza tha n the fact tht no one  was recognizing me was amazing at tht particular time ... I cant forget the tea ov tht hotel .. ALLAH jabbar ko khush rakhay .. the tea Boy

 Kabutar urtay huay aur ALLAH ka naaam letay huay aur he khoobsurat lagtay hain

   Khud ba khud tahajut k waqt ankh khul jati hai k jaisay sari duniya isi liye banaye gaye hai ta k hum ALLAH ki hamd o sana kerein  aur namaz perhain jaisay k us ko perhnay ka hukam hai …

  Kaee jutian chori hueeen aur kaye naye bhi a gayen to yeh ek process hai jitney loog bhi wahan jayen to is baat say mat ghabrain …..   masjid mein QURAN PAK perhnay ka jo maza hai wo yakeenan gher mein baith k perhnay ka ne hai …   ek QAZA namaz ada kernay ka sawab 50,000 namazon k barabar hai … itni namazain to kabhi hum ne zindage mein bhi ne perhi hoon ge .. jis ksi naik khwahish ki talab ho ya khanay ki hajat ho ya kuch bhi dil mein ho wo sochnay k kuch he dair baad aap k samnay hoti hai … ya koi aisi khabar jo aap ko ALLAH ki wahdaniyat ka yakeeen dilate hai  …..

      HAZRAT USMAN ( R.A ) k pass ki jaedad mein jo teeen pani k quain thay who bhi masjid nabwi ka hisa hain k jo aaab nazar ne atay lekin wo kuch satoono k nechay hain ..  kia roshni aur khoobsurati hai chat pe namaz perhnay ki

 

                 "”   karan palkan day naal safaiyan MADINAY diyan hoon galian "”

 CANT be explained 

       

Jab bhi asmaan ki taraf dekhta tha to chand aur us k saath ek he sitara nazar ata tha aur sochta rehta tha k baki taray kahan gaye … its amazing k sirf wahan per ek he sitara nazar ata hai chand k saath .. to kaisay na shuker kerta   ALLAH ki naymatoon ka aur kaisay na kerta us ki bnaye hui kaenat ki tareef

   "”  JANNAT-UL BAKI””

    Wo ziarat hai k jahan pe sahaba ki kabrain hain aur bohat bara qabristan hai   … insan ki asliyat samnay a jati hai aur hasher ka roz samnay a jata hai …  jitna bhi paisa insane kamata hai jitni bhi izat kamata hai un kabro ko dekhnay k baad aisa mehsoos hota hai k sab kuch yahen reh jaye ga …..  sahaba ka itna alla darja honay k bawajood who loog mitti k ander hain aur jis ksi k pass dheron paisa ya jaaeedad hai who bhi matti k ander hai … to hum loog to aam insan hain aur who loog to sara din ALLAH ki ibadat mein guzar detay thay . 

  

   Ziaratoon ka zikar kertay kertay .. masjiday        QIBLATAIN ( do qiblon wali masjid ) ki ziarat naseeb hui  wahan per nawafil ada kiye aur us ki history b suni …. Kaha jata hai k jab  musalmanoo ka qibla pehlay baitulmaqdas hota tha aur jab NABI (salal la ho alae wa alehe wasallam ) ko namaz k perhatay doran is baat ka hukam hua k AAP (salal la ho alae wa alehe wasallam ) rukh khana kabba ki taraf ker lein to sab k sab namazion ne KHANNA KABBA ki taraf rukh ker k namaz ada ki … is liye is masjid ko do qiblon wali masjid yani masjideqiblatain kaha jata hai ..

   Madina mein 40 namazain puri karma afzal hai is liye hum loog 8 din isi tarah tahajut k saath namaz ada kertay rahay aur jo jo choti choti naikian kama saktay thay wo kamanay ki koshih ki ..   jin mein namazion ko salam say lay k bazurgon ki jutian sedhi kernay tak aur sadka k saath saath logon k liye nawafil ada kernay tak ….. janta hun k naiki ker k ager jatlayee jaye to us naiki ka koi faeeda ne .. lekin yeh soch ker k meray fans jab wahan jayen gay to kuch aisa he kerein gay to mujhe khushi ho ge aur sab say bari baat yeh hai k  ALLAH ki zaaat aap sab say razi ho jaye ge is liye zaroori samjhta hun btana  ….... bus  ALLAH ki khushi mang lein …. Jhuk jayen apne nafs k liye …  ksi ki izat k liye ksi k khaloos k liye ,,, ksi ki dua k liye … ksi k pyaar k liye … aur ksi baat ka bura mat manayen …. Unchi awaz mein ksi say baat mat kerein apnay ghusay ko kabu mein rakhein .. aur sab k saath khaloos say paish anay ki koshih kerein. Yaken janein k ALLAH ne humein bohat sari naimaton say nawaza hai aur bayshak ghayab ka ilam sirf  ALLAH he ko hai   ..

    "”   khushi ki baat yeh thi k meray wahan per dost bnana shuru ho gaye .. jaisay k masjid-e-nabwi k librarian aur staff … germany say aya hua ek musalman bhai jo k urdu ne bol pta tha lekin us ko meri videos aur mera kam yaad tha aur us ne mujhe wazzu kertay huya jab dekha to meray pass a k pochnay laga k where r u frm n wht u do …. ? khushi hui us say mil k itna contented aur hasnay khelnay wala insan .. us ne zikar kia k wo truck chalata hai germany mein aur rastay mein meri awaz sunta aur us ko acha lagta hai … khushikhlaki ki inteha dekhain k us ne mujhe number dia aur kaha k jab bhi ayen wahan to zaroor usko btayen … n there we departed .. "” small conversations … AMAZING  …..   kis ko kahan per kis say mila dia …..  QUDRAT  

         Librarian ne humein library dikhaye k jis mein humein sab say pehla QURAN PAK dekhany ko naseeeb hua …  kaha jata hai k is ki sirf do he jildain hain … ek jo hai turki mein hai aur dosri MASJID-E-NABWI mein …  muktilif aksam ki khatati dekhi k jis mein puranay  zamany mein sonay k pani say harooof likhay jatay thay ….   Hazrat USMAN (R.A) aur HAZRAT ALI (R.A) ki qalmain dekheeen k jin say who likhtay thay.. bohat c duayen is insan k liye … k jis ne mujhe jab tafseer wala QURAN PAK perhtay huay dekha to mujhe MADINA mein say janay say pehlay khana khilanay lay gaya aur wohi tafseer wala QURAN PAK naye jild k saaath day dia .. kitna lucky hai wo insane ko  hamaray NABI(salal la ho alae wa alehe wasallam) k rozay pe safaye bhi kerta hai 

 

          "” music n islam …   2 farak loog mujhe milay ek to wo k jo khud bhi is industry say related tha  long time back .. I wont take anynames  jab woh meray pass aya to us ko ne maloom tha k mein kaun hun ek aam insane ki haseyat say milnay aya .. aur baat kernay laga jab mein ne zikar kia to hasnay laga aur kaha k mein bhi isi field say tha lekin sab chor dia ..  pocha wajah kia thi to kehnay laga k phuljari ko jab jalaya jata hai to sab khush hotay hain aur us ka tamasha dekhtay hain per jaisay he wo khatam ho jati hai tab sab us ko phaink detay hain .. to us ka matlab kuch aisa tha k ek waqt tha jab yeh loog famous thay aur sab kuch aroooj pe tha phir jab downfall aya to laga k is mein to kuch hai he ne .. yani k mujhe chor dena chahaye …..…..  to mujhe kuch wajah ajeeb c lagi k is mein music chornay wali kia baat thi sirf yahe wajah k success ne mili .. this shouldn’t b the reason ..? …. Aur pocha to kehnay laga k moashray mein adjust kaisay keron ga jab meri beti hui to loog us ko kia kahein gay k kis ki baiti hai … mein ne socha to laga k justified  ………. thori c aur conversation hui to namaz ka waqt ho gaya .. phir hamray rasta alag ho gaye …… 

              Ek aur sahib milay tableeeg he kertay thay .. samjhanay lagay k hajj e qiran mein kia hota hai .. kaisay kia jata hai aur kab kab kia kia kerna hai // to jab samjha rahay thay to ALLAH  ka nam bhi lay rahay thay . lekin un ki ek baat jo mujhe bohat pasand ayeee … who yeh thi k ….kehnay lagay …….. ALLAH ko pasand hai                    "” qurbani "”  her us ghalat  cheez ki k jo aaap ko pasand hai …  nafs ki qurbani ….  Her buri cheez ki taraf mutawajay honay ki qurbani   …….   Bara he khoobsurat wakaye k jis ki tehreer hai k jab HAZRAT IBRAHIM(R.A) ko hukam hua k aaap apni sab say pyaari cheez ko qurban ker dein to unhon ne socha k a  ALLAH meray liye to mera beta he muje sab say pyaari cheez hai to hukam hua k us ki qurbani do ,.,, kia sabar ka imtehan ho ga k  HAZRAT ISMAIL( R.A ) say yeh pocha k beta mujhe aisa hukam hua hai to betay ne jawab dia k jaisay ALLAH ko manzoor hai waisay mujhe bhi manzoor hai ,  ek baap ne jab apnay baitay say pocha k aap is baray mein kuch kehna chahtay ho  to betay ne fermaya  k aap apni ankhon pe qurbani k waqt pati band lena ta k mujhe dekh k aap ka irada badal na jaye ,, phir pocha aur … to fermaya k meri peeth pe gutna rakh lena ta k mein hil na sakun kion k ager hilon ga to aapko phir takleef ho ge … sochnay wali baat hai k sabar ka itna imtehan k HAZRAT IBRAHIM (R.A) ne 70 baar churi chalayee aur phir bhi kuch ne hua phir JANNAT say dumba bheeja gaya aur hukam hua k is ko zibbah kero …        to yeh  hai apnay sabar ki qurbani jo k  ALLAH ko pasand hai . ……

       Bayshak tammam jahan ka khaliq o malik hai  "”” bara nigehbann nehayat reham wala "””   pak PERWARDEGAR  hai … hidayat denay wala bakhshnay wala hai , "”

Hidayat naseeb fermanay wala hai , sehat ata fermanay wala hai …

    Yeh 8 din kaisay guzar gaye pta he ne chala …   zohar say lay k isha tak masjid mein baithna mein kabhi ne bhool sakta … jannat ka tukra aur ROZA-E-RASOOL  mein kabhi ne bhool sakta .. aur wo loog jo meray liye naikian kamanay ka zarya banay who bhi mein kabhi ne bhool sakta … apnay fans ko ne bhool sakta …… akhri salam k waqt udasi honay lagi rozay ko dekh k baar baar ansoo anay lagay aur bahir nikaltay mu say yeh dua nikli k is rozay ki ziyarat humein dubara naseeb ferma aur wo sab loog jo is say mehroom hain un sab ko yahan pe bula .  AMEEN

      Kuch zaroori c cheezain jaisay k kajhoorain aur abe zam zam hum ne madina say liya aur chal diye

 So finally we were ready for the toughest part ..  madina mein ehram bandha aur mekkah k liye nikal paray … yani k ehram ki sari shertain hum per lazim ho gayen … k jin mein koi b fazool baat say perhaiz ,, jhot say perhaiz  .,, gair zaroori baal tarashna … ya baal nochna …  biwi say mubasrat say perhaiz….aur kafi pabandian shamil hai…….

Yeh safar hum logon ne by road kia aur aaaj tak mein ne itnay sakht aur kalay pahar aur pathar aur saaath mein sehra ek saath ne dekhay.. to zara sochain k NABI (salal la ho alae wa alehe wasallam) is rastay say paidal safar kertay thay apne qurbani k janwar lay k apni untni k saath .. itna lamba safar kia jata tha hajj k faraiz ko pura kernay k liye .,..,hajj ki teeen iqsam hain aur hamaray NABI(salal la ho alae wa alehe wasallam ) ne hajj-e-qiran kia tha isi liye is ko sab say afzal mana jata hai   .. sab say ajeeb baat yeh thi k jo driver humein lay k jar aha thaw o arabi tha k jis ko English samjh ne ati thi aur gari baar baar garam ho rahi thi is liye who gari zada taiz chala ne sakta tha … to hum 70 ki speed pe us gari mein madina say mekkah pohanchay …. Us say pehlay shahbaz ne kahein washroom jana tha aur mein ne driver say baat kernay ki koshish ki k rok day gari washroom jana hai lekin bhai ko urdu to samjh ani ne thi aur na he koi aur zuban to mein ne isharay ki zuban istemal ki hai sahib ne who b na samjhi .. phir mein ne khana khanay ka ishara kia to kuch us ne khanay k liye roka aur wahan per bhai sahib ja sakay toilet …. Ufff … gari kharab aur in the middle ov no where jo theek kernay wala tha gari wo ek PAKISTANI tha ..  neend say bura haal tha lekin woh meray pass a k muj ko pechna shuru ho gaya aur kaha sahib aap ka nam kia hai mein ne kaha Atif to kehnay laga  aap to tv pe atay hain na mein ne kaha hann .. to 3 ya 4 min mein he gari theek ho gaye aur ird gird k tammam PAKISTANI ikathay ho gaye aur tasweerain lena shuru ho gaye … aur mein ne ALLAH ka shuker ada kia k is jaga pe bhi a k logon ne mujhe izat di aur pyaar kia   akhir kar 12 ghanton k baad hum loog mekkah ki hadood mein dakhil huay aur azizia mein kuch dair k liye ja k rukay ,,.,, namaz ka waqt ho chala tha  k …. Aur talbeya shuru ….  Aaj tak kabhi mein  itna excited na hua jitna KHANA KABBAH ko dekhnay k liye tha aur jaisay he hamari bus haram ki hadood mein dakhil hui to lag raha tha k zindage yahen khatam ho jaye ge aur dil ka rabta demagh say munkata ho jaye ga ,,  jab utray bus say to upper ja ker dekha k haram k bahir duniya he duniya hai . her nationality ka insan her rang k loog ander dakhil hona he mushkil ho gaya … asar kaza ho rahe thi is liye soch k yahen perh lein . itna rush k paon rakhnay ki jaga ne aur imtehan shuru.. asar perh li to  foren he maghrib ka waqt ho gaya maghrib ada ki to phir say talab hona shuru ho gaye k itnay pass hain aur ander ne ja pa rahay  .. thori c mehnat ki aur sochna shuru ker dia k sab k liye dua mangun ga kion k kaha jata hai k jo b dua pehli nazar pernay per mangi jati hai qabool hoti hai .. SUBHANALLAH … ksi ne kaha k serheoon pe qadam rakhna to ankhein nechi ker lena .. per kaisay kerta ankhein nechi .. itni baytab thi ankhein dekhnay ko .. koshish ki lekin nazrain lalcha gayen aur nazar per gaye …. Jab dekha to sab kuch bhoool gaya .. koi dua mujhe yaad he ne rahi .. ksi insane ka fiker bhi na raha . apni zaaat bhool he gayee sab pareshanian khatam ho gayen sab mushkilein asan ho gayen aur nazrain hatana bohat mushkil tha KHANNA KABBA say … thori c jaga mil to tasali say dekhtay huay dua mangi aur alhamdulilah woh sab duayen qabool hueen ..  

  UMRA shuru kertay huay   hijra-e-aswad ko haath laga ker  "”  BISMILLAH –E-ALLAH O AKBAR "”   teen baar perhna hota hai aur pehli dafa kano ko haath lagana hota hai … jo insane  pather ko haath na laga sakay wo duur say ishara ker k yeh kalmat ada ker sakta hai aur yahan say aap tesra kalma perhna shuru ker dein aur tawaf shuru ..  MAKAM E IBRAHIM say guzartay huay .. HATEEM ata hai k jahan nawafil ada kernay ka bohat sawab hai aur us k baad RUK-NE-YAMNI   k jahan say tesray kalmay ki bajaye yeh dua perhtay hain "” rabana atina fiduniya hasantanwafil akhira hasanatanwakina azabanaar "”  aur phir HIJRA-E-ASWAD tak pohanctay huay yahe dua perhtay rehtay hain ..  dosra chakkar shuru kernay say pehle wohi amal dubara doharatay hain "” BISMILLAH-E-ALLAH-O-AKBAR”” lekin is baar kano ko haath ne lagana hota aur isi tarah saath chakker mukamal kerna hotay hain …..   jalaal mehsoos hota hai ALLAH k gher mein aur jab aap itnay nazdeeek hotay ho to kitni rehmatein barasti hoon gee is ka andaza bhi ne lagaya ja sakta … shahbaz aur mein ek saath he tawaf ker rahay thay jis ksi insan ka paoon paonn per perta us say churwana mushkil hota kion k jagga kam hoti thi .. dosray he chakker mein meray paoon ka nakhun toot gaya aur tawaf k beech mein pta bhi ne chala .   6 chakker mein mein ne taheem say guzarnay k baad shahbaz ko kaha k shahbaz chaltay hain KHANNA KABBA ko haath laganay to kehnay laga k abhi rash hai rush mein ne lagatay baad mein ayen gay …  mein ne jaldi say us ka haath pakra aur us ko khench k lay gaya aur ALLAH ka kerna aisa hua k humein jaga mil gaye aur jo feeling ALLAH k gher ko haath laganay ki thi wo bayann ne ki ja sakti  ..  foren say pehlay kuch aisa laga jaisay ksi ka pyaar mil gaya ho .. rona a gaya .aur socha k apni zindage ki khwahish puri ker loon … kitna khushnaseeeb hun mein k meray mu say nikli hui baat puri ho gaye k mein ne azaan day di halan k azan ka waqt ne tha per ALLAH k gher ko haath laga k azan di … mein ne janta k mein ne theek kia ya ne .. per dua ki k ALLAH meri azan aur neyat ko kabool ferma .. 

           Umra ada kernay k baad hum log azizia chalay gaye aur aram kia aur aglay din sham ko mina k liye rawana ho gaye …. Mina dar asal hajion k khaimon mein saath rehnay ki jagah ko kaha gaya hai k jahan ek he jagah poe sab loog khatay petay aur sotay hain khaimon mein .. sakht barish ki bina per kamron mein pani ana shuru ho gaya aur sab ne ijtamaee dua kerna shuru ker di  .  .. mina mein maghrib aur isha ada kernay k baad subah subah fajar ki namaz per k  ARAFAT k liye nikal paray ……..

       Waqof Arafat ko  he HAJJ ka nam dia gaya hai .. yani k Arafat mein wakoof yani qayam ko he hajj kaha gaya hai  k jis mein zohar aur asar ki namaz masjide nimra mein ada ki jati hai aur isi ko hajj kaha jata hai … asar k waqt kasrat say dua mangi jati hai aur maghfirat qabool hoti hai … maghrib ki namaz perhay baghair  mazdalifa k liye rawana hona perta hai aur maghrib aur isha ikhti mazdalifa k jahan sab loog zameen pe sotay hain khulay asma k nechay … .. sonay say pehlay ya jab bhi waqt milay to jamarat yanI  shaitan ko marnay k liye kankrian uthaye jati hain .   fajar ki namaz per k mina k liye nikla jata hai aur RAMI ki jati hai …

           RAMI ka tareka k pehlay din sirf baray shaitan ko 7 kankrian mari jati hain

 Aur qurbani ki jati hai aur baal mundwa k ehram khol dia jata hai jis k baad wapis mina mein namaz aur baki ki rami k liye aya jata hai 

                  AZIZIA wapis ja k hum ne tawafe ziara aur  tawafe qadoom ki saee ki ... .. yeh tawaf sab say upper kia gaya  .. socha tha jaldi say ho jaye ga aura san ho ga rash ne ho ga .. lekin isi chakker mein meray teen extra chakker lag gaye shahbaz ko dhondtay dhondtay …     tawaf k baad wapis mina gaye aur tunnel traffic mili aur laga k yahan zindage khatam ..  tunnel say hajion ka rash na agaya ja sak raha than a pechay … aur ambulance ka shor achanak say aur panic create ker deta tha .. bus maut ko kafi kareeb say dekha ….   Akhir 3 ghantay ki walk k baad mina mein pohanch gaye aur isha ada ki …..  subah uth k hum ne dosray din ki rami ki  .. sari namazain ada ker k wapis mina a gaye …  tesray din ki rami k baad hum loog azizia k liye saman lay k rawana ho gaye … 

               Hotel mein check inn  honay k aglay roz hum ne tawafe wida kia jo k bilkul sab say qareeeb tha .. k jis mein hijra-e-aswad ko hath b lagay aur hateem mein namaz bhi ada ki  …..   tawaf k baad hum logon ne kuch shopping ki yani k arabi jubay khareday so tht we can wear them on our way back home ……….... Aab ap soch rahay ho gay k kis kis k liye dua ki …sach pochain to us insan k liye bhi dua ki k jis ne kabhi mujhe pani pilaya … jis ne mujhe sab say zada mushkilat mein dala …. Jis ne meray liye acha kia … jis ne meray liye bura kia … us k liye bhi k jis ne kabhi meray liye saman uthaya .. aur apne teachers k liye bhi k jo mujhe yaad reh gaye .. wo loog bhi k jin say mera koi taluk ne aur woh b k jin k liye mujhe meray doston nay kaha  ….. dil bohat khush hua mang k sab k liye    

                 .. yeh sari batein tab tak mehsos ne ho sakteen jab tak aap khud na jayen aur hajj ya umrah ada na kerein ….    ALLAH tallah aap ko acha ikhlaq day aur her aisi naymet k jis say aap ko ALLAH ki maujodgi ka ehsah her waqt hota rahay . ALLAH  pakistan ko khushion say bher day …  aur ALLAH hum sab ki duayen qabool fermaye . ameeen  ya rabalalameen..

          Sab say akhir mein I would like to request all ov u to pray for ma cousin who got shot in UK .   jab kabhi bhi khudanakhwasta aap k saath aisa ho k gun point pe koi ap say paisay mangay to plz yeh soch lein k wo paisay aap ki jaan say ziada qeemati ne hain..   dua kejeye k  ALLAH khurram ko jawaray rehmat mein jagah ata fermaye aur us k tamam gunnah maf fermaye .. AMEEN .   ..


Category: Atif aslam news | Added by: Danoo (2010-02-14)
Views: 4401 | Comments: 3 | Rating: 5.0/2
Total comments: 3
3 spinex waqas  
0
hmmmmmm! very nice>3

2 Zarmeen  
0

1 niky  
0
mashallah aadee bahot accha laga prh kr aur meine apke couzn k liye dua b ki k allah o taala unhe jannat naseeb farmaye

Only registered users can add comments.
[ Registration | Login ]

Join us!

Section categories

Atif aslam Reviews [69]
Album/Song/concerts reviews only about Atif aslam.
Atif aslam Articles [113]
This the section for the articles related to atif aslam published anywhere on web,magazines and newspapers.
Atif aslam interview [60]
You can post and find here all the hot and exclusive interviews of Atif aslam!
Atif aslam news [196]
You can post and find here all the news and gossips about Atif Aslam! Only for aadeez!
Lyrics [20]

Search

Atif Arena Poll

Sur khetra?
Total of answers: 6818

Statistics


Total online: 4
Guests: 4
Users: 0

Subscribe To Us!

Enter your email address:

Sunday
2025-01-05
4:43 AM


Copyright Atif Arena © 2025